| |
|
|
|
Ahaadees SMS-Urdu - Page 19
|
|
There are more
than 260 Urdu Ahaadees SMS Page No.
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26 |
| |
|
|
» |
Khayaanat :
Be-shak kuchh log Allah Ta'ala kay
maal me naa-haq tasarruf
karty hein. Qayaamat kay din un
kay liye jahannam hay.
(Bukhari) |
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
|
» |
Zameen Hathyaana :
Jo shakhs baalisht bhar zameen
zulman hathyaye ga Allah Ta'ala
qayaamat kay din saat zameenon
ka tauq us kay galy mein daaly
ga. (Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Mazloom ki Bad-Dua :
Aur mazloom ki bad-dua se bacho,
kionkeh mazloom ki bad-dua
aur Allah Ta'ala kay darmiyaan
koi hijaab nahin hay.
(Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Amn Pasandi :
Musalmaan wo hay jis ki zubaan aur
hath se musalmaan
mehfooz rahein
(Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Momin ki Jaan-o-Maal ka Ehteraam :
Khabardaar! Be-shak Allah ne tum
par aik doosry kay maal aur
jaanein haraam kar di hein.
(Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Janaazy Kay
Aadaab: Janaazy ko
lay jany mein jaldi karo.
(Bukhari-o-Muslim)
Jab tum janaaza dekho to khary
ho jao aur us waqt tak khary
raho jab tak keh janaaza guzar
na jaye.
(Bukhari-o-Muslim)
Jo shakhs janaazy mein hazir
hua aur us waqt tak shareek raha
keh jab namaaz-e-janaaza parhi
gai, us kay liye aik bary
pahaar jitna sawaab hay aur jo
tadfeen tak shareek raha us kay
liye do (2) bary
pahaaron jitna sawaab hay.
(Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Iddat:
Khaawind kay marny par beewi ko
chaar (4) maah dus (10) din
iddat guzarni zaroori hay.
(Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Bachchon ki
Wafaat par Sabr: Har
wo aurat jis kay do (2) ya teen (3) bachchy wafaat
pa jaein
aur wo sabr kary to wo bachchy
us kay liye jahannam say parda
ban jaein gay.
(Bukhari-o-Muslim) |
| |
|
|
|
|
» |
Marnay Wala Aur
Sadqa: Aik shakhs ne
Rasool-e0Kareem (P.B.U.H) ki khidmat mein hazir
ho kar arz ki, meri walda ka
acaanak inteqal ho gaya lekin mera
khayaal hay agar un ko bolny ka
mauqa milta to eo raah-e-khuda
mein safqa deteen lihaaza agar
mein un ki taraf se sadqa doon
to kya un ko is ka sawaab
pohanchy ga? Aap (P.B.U.H) ne
farmaya: ''Haan pohanchy ga.''
(Bukhari-o-Muslim) |
|
|
|
|
|
|
» |
Be-Zarar
Jaanwar ko Takleef Na Dein:
Aik aurat ko aik bili ki waja se
azaab diya gya. us aurat ne billi ko
qaid mein rakha usy kuchh
khilaya na pilaya aur na usy kaheen
jany diya keh zameen kay keery
makory kha sakti hatta keh wo
mar gai aur wo aurat is gunah
ki waja se jahannam mein gai.
(Bukhari-o-Muslim) |
|
|
|
|
| |
There are more
than 260 Urdu Ahaadees SMS Page No.
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10
11
12
13
14
15
16
17
18
19
20
21
22
23
24
25
26 |