|
Sadqa-o-Khairaat :
Hazrat Abu Huraira se muravi hay : aik
shakhs Hazoor (P.B.U.H)
ki khidmat mein hazir hua aur arz kia :''Ya Rasool Allah!
(P.B.U.H) kis sadqa ka ajr sab se ziada hay? ''farmaya'' wo
sadqa
jo to sehat, qillat-e-maal, khauf-e-faqr aur umeed-e-ghina ki
haalat mein kary aur susti na kar yahaan tak keh jab saana
halq
ki taraf aa jaye to tu kehna shuroo kar day keh fulaan cheez
fulaan shakhs ko day do halaan keh us waqt saara maal
doosron ka ho chuka hota hay.''
(Bukhari-o-Muslim) |