|
Ab
kooch karo, is shahar mein ji kaa lagana kaya /
Ab kooch karo, is shahar
mein ji kaa lagana kaya
Vahshii ko sukuun se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa
kyaa
Is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii
Ab kooch karo, is
shahar mein ji kaa lagana kaya
Jis jholii mein sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa
Shab biitii, chaand bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN
Kyun der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa
Ab kooch
karo, is shahar mein ji kaa lagana kaya
Us husn ke sachche motii ko ham dekh saken, par chhuu na saken
Jise dekh saken par chhuu na saken vo daulat kyaa vo Khazaanaa
kyaa
Us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban
Ab kooch karo, is shahar mein
ji kaa lagana kaya
Yun aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa
Jab sha’hr ke log na rasta dekhen, kyun ban mein na jaa bisraam
kare
Ab kooch karo, is shahar mein
ji kaa lagana kaya
Diivaanon kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa?
|